اردو हिंदी
Ne zaKHm-e-KHun-chakan hun na halq-e-burida hun | Shaahi Shayari
ne zaKHm-e-KHun-chakan hun na halq-e-burida hun

Ghazal

Ne zaKHm-e-KHun-chakan hun na halq-e-burida hun

Mushafi Ghulam Hamdani

;

ne zaKHm-e-KHun-chakan hun na halq-e-burida hun
aashiq hun main kisi ka aur aafat-rasida hun

hasti se apni mujh ko nahin mutlaq aagahi
umr-e-guzishta ya ki ghazal-e-ramida hun

nikle hai meri waza se ek shorish-e-junun
dariya nahin main sail-e-gireban-darida hun

murghan-e-bagh mein mere nale ka shor hai
har-chand main abhi nafs-e-na-kashida hun

pahunche saza ko apni jo munh par mere chaDhe
main dast-e-rozgar mein tegh-e-kashida hun

jata hai jald qafila-e-umr kis qadar
mohlat nahin hai itni ki Tuk aarmida hun

kaun uTh gaya hai pas se mere jo 'mushafi'
rota hun zar zar paDa aab-dida hun