ne shikwa-mand dil se na az-dast-dida hun
is baKHt-e-na-rasa se aziyyat-kashida hun
ku KHanda ku tabassum o ku fursat-e-suKHan
is anjuman mein hain lab-e-hasrat-gazida hun
ne kaam ka kisi ke na mujh ko kisi se kaam
hairan hun kis liye main yahan aafrida hun
hasti ko ne sabaat na jine ka e'timad
kis ki umid par koi dam aaramida hun
mera to kaam ek palak mein tamam hai
manind-e-ashk bar-sar-e-mizhgan rasida hun
gulchin abas nigah rakhe hai meri taraf
main is chaman mein jun gul-e-rang-e-parida hun
saunpun main kyun na apna gareban ajal ke hat
ai umr zindagi se main daman-kashida hun
is waste tu qadr meri jaanta nahin
han in tere ghulamon mein be-zar KHarida hun
mera bhi dil shagufta kabhu ho nasim-e-wasl
bahuton ka is chaman mein main ab KHarwida hun
pas-e-adab se us ke qadam tak nahin majal
warna na pa-shikasta na dast-e-burida hun
dushman se bhi tawazo mein rakhta nahin daregh
tazim ko adu ki main tegh-e-KHamida hun
rone talak to kis ko hai fursat yahan sahab
tufan hua bhi jo Tuk ek aab-dida hun
yaran dimagh ko jo karun tum se iKHtilat
is dasht mein main wahshi-e-az-KHud-ramida hun
kya puchhte ho dard ko 'hatim' ke dostan
jo kuchh ki hun so hun gharaz aafat-rasida hun
Ghazal
Ne shikwa-mand dil se na az-dast-dida hun
Shaikh Zahuruddin Hatim