ne shahriyon mein hain na bayabaniyon mein hum
aazad hain pa hain tere zindaniyon mein hum
jin ka nazir dast-e-qaza se na ban saka
insaf ho to hain unhi la-saniyon mein hum
dariya ki lahron se ye ayan hai ki jun hubab
rakhte hain dil ko jama pareshaniyon mein hum
rashkuk mere ashk ke le us ne yun kaha
in motiyon ko Dalenge chaudaniyon mein hum
ab tairan-e-dasht ke hain ham-nashid-e-dard
karte the zamzame kabhi bustaniyon mein hum
ai tegh-e-naz tu ne ye kaisa sitam kya
be-zabh rah gae tere qurbaniyon mein hum
jis ja paDe hain kushte tere un ke jo nasim
bose hi dete phirte hain peshaniyon mein hum
sau iden aain aur hua hum ko hukm-e-qatl
kya na-qubul hain tere zindaniyon mein hum
ai shahsawar-e-husn inan le ki pis gae
tere samand-e-naz ki jaulaniyon mein hum
mudrik hain juz o kul ke pa rahte hain raat din
us kar-gah-e-sana ki hairaniyon mein hum
kashti shikast-KHurda-e-dariya-e-ishq hain
jate hain tirte Dubte tufaniyon mein hum
muhtaj-e-marg kahe ko phir howen 'mushafi'
jite hi ji jo baiThe hon ruhaniyon mein hum
Ghazal
Ne shahriyon mein hain na bayabaniyon mein hum
Mushafi Ghulam Hamdani