ne fiqh na mantiq ne hikmat ka risala hai
is fann-e-mohabbat ka nusKHa hi nirala hai
KHatra hai mujhe ab to chup rahne se bhi apne
kya hai ki na sozish hai wo aah na nala hai
dil hi na khule apna to kijiye kya warna
sabza hai gulistan hai gulzar hai lala hai
kyunkar na samar lawe shaKH-e-mizha laKHt-e-dil
sau KHun-e-jigar se main is tir ko pala hai
hai dil mein to wo lekin dikhlai nahin deta
bahar to andhera hai aur ghar mein ujala hai
tajil na kar ai dil aane to laga hai wo
mil jaega bosa bhi kya munh ka niwala hai
kaifiyyat-e-mai-KHana bas dekh le ab kya hai
saqi hai na sahba hai shisha hai na pyala hai
ye chaal agar hai to rahne ka nahin ab dil
be-tarah se us ne to kuchh panw nikala hai
tu hota to kya hota kal nam tera lete
gulshan mein 'hasan' ko main girne se sambhaala hai
Ghazal
Ne fiqh na mantiq ne hikmat ka risala hai
Meer Hasan