ne faqat tujh husn ki hai hind ki KHuban mein dhum
hai teri zulf-e-chalipa ki farangistan mein dhum
kya karen pa-basta-e-ku-e-butan hain warna hum
karte jun farhad o majnun dasht-o-kohistan mein dhum
dekh tere munh ko kuchh aaina hi hairan nahin
tujh ruKH-e-raushan ki hai mahr-o-mah-e-taban mein dhum
ai bahaar-e-gulshan-e-naz-o-nazakat har taraf
tere aane se hui hai aur bhi bustan mein dhum
sher kahna garche chhoDa tu ne ai 'bedar' aaj
kah ghazal aisi ki ho bazm-e-suKHan-sanjaan mein dhum
Ghazal
Ne faqat tujh husn ki hai hind ki KHuban mein dhum
Meer Mohammadi Bedar