ne but hai na sajda hai ne baada na masti hai
yan sher-parasti hai ya husn-parasti hai
said se tere shoale yun husn ke uThte hain
hathon mein tere goya mahtabi-e-dasti hai
bimari-e-sil se kam samjho na gham-e-ulfat
ye sil mere sine se ab koi akasti hai
mamura-e-dil apna viran raha barson
wo kaun si basti hai kya jaane jo basti hai
missi ki dhaDi us ki nazron se jo hai ghaeb
ya-rab wo siyah badli kidhar ko barasti hai
bulbul ko qafas se kab sayyaad tu chhoDega
nazzara-e-gul ko ye har sal tarasti hai
sar de ke bhi hath aawe gar tegh-e-KHam-e-abru
ai 'mushafi' hum to bhi samjhen hain ki sasti hai
Ghazal
Ne but hai na sajda hai ne baada na masti hai
Mushafi Ghulam Hamdani