ne amiron mein ne waziron mein 
ishq ke hum to hain faqiron mein 
koi aazad ho to ho yaro 
hum to hain ishq ke asiron mein 
banda-e-ishq haq hai apne yahan 
taj-daron mein taKHt-giron mein 
furqat-e-yar ki bhari hai bu 
nala-ha-e-nai o nafiron mein 
zan-e-duniya murid kis ki nahin 
hum bhi is qahba ke the piron mein 
ab to KHamosh hain qafas mein kabhi 
naghma-sanjaan the ham-safiron mein 
hum ko tu wajib-ul-wajud mila 
hum kabiron mein hum saghiron mein 
kunj-e-uzlat mein yar ko paya 
ne qalilon mein ne kasiron mein 
shukr-e-haq kijiye ki hai 'matam' 
apne dildar dil-paziron mein
        Ghazal
Ne amiron mein ne waziron mein
Maatam Fazl Mohammad

