اردو हिंदी
Nazzara jo hota hai lab-e-baam tumhaara | Shaahi Shayari
nazzara jo hota hai lab-e-baam tumhaara

Ghazal

Nazzara jo hota hai lab-e-baam tumhaara

Ahsan Marahravi

;

nazzara jo hota hai lab-e-baam tumhaara
duniya mein uchhalta hai bahut nam tumhaara

darban hai na hai ghair-e-bad-anjam tumhaara
kaam aaega aaKHir yahi nakaam tumhaara

dushnam suno de ke dil ai husn-paraston
ye kaam tumhaara hai wo inam tumhaara

aaghaz-e-mohabbat hai ho KHush hazrat-e-dil kya
achchha nazar aata nahin anjam tumhaara

'ahsan' ki tabiat se abhi tum nahin waqif
hai dil se dua-go sahar o sham tumhaara