اردو हिंदी
Nazzara-e-nigah ka unwan badal gaya | Shaahi Shayari
nazzara-e-nigah ka unwan badal gaya

Ghazal

Nazzara-e-nigah ka unwan badal gaya

Mohammad Siddiq Saib Tonki

;

nazzara-e-nigah ka unwan badal gaya
wo kya gae ki rang-e-gulistan badal gaya

josh-e-junun-e-ishq ka saman badal gaya
daman pe hath tha ki gareban badal gaya

mahsus kar raha hun har insan ko ajnabi
wo kya badal gae ki har insan badal gaya

guzra har inqalab se daur-e-junun magar
daman badal gaya ki gareban badal gaya

wahshat-nawaz ab wo nazare nahin rahe
nazren badal gain ki bayaban badal gaya

is chashm-e-iltifat ka aalam na puchhiye
aksar nizam-e-gardish-e-dauran badal gaya

kya jaane 'saib' aaj ye dauran-e-arz-e-shauq
kyun dafatan wo chehra-e-KHandan badal gaya