nazzara-e-jamal ne sone nahin diya
shab bhar tere KHayal ne sone nahin diya
pahle nawed-e-wasl meri nind le uDi
phir nashsha-e-visal ne sone nahin diya
jis roz us ke jhuT ki sachchaiyan khulin
suqraat ki misal ne sone nahin diya
kis KHub-surati se juda kar diya hamein
dushman ke is kamal ne sone nahin diya
jo bhik mangte hue bachche ke pas tha
us kasa-e-sawal ne sone nahin diya
shab bhar main jagti rahi jis ranj ke sabab
din ko bhi us malal ne sone nahin diya
kitni thakan safar ki thi par wapsi ki sham
is shauq-e-arz-e-haal ne sone nahin diya
'ruhi' main KHwab-e-ishq se jagi to us ke baad
kitne hi mah-o-sal ne sone nahin diya
Ghazal
Nazzara-e-jamal ne sone nahin diya
Rehana Roohi