nazron ki zid se yun to main ghafil nahin raha
pahlu mein ai 'mushir' magar dil nahin raha
ai dil tasawwuraat ka hasil nahin raha
koi meri nazar ke muqabil nahin raha
maujon pe e'timad na kyun kar kare koi
sahil to e'tibar ke qabil nahin raha
aadab-e-bazm-e-naz pe ai dil nazar to hai
mana ki dard zabt ke qabil nahin raha
wo chashm-e-ishwa-kar hai aamada-e-karam
ab dard e'tibar ke qabil nahin raha
jalwon ka ehtiram nigahon mein hai 'mushir'
main apne farz se kabhi ghafil nahin raha
Ghazal
Nazron ki zid se yun to main ghafil nahin raha
Mushir Jhanjhanvi