nazron ki tarah log nazare ki tarah hum
bhigi hui palkon ke kinare ki tarah hum
ye rup to suraj ko bhi hasil nahin hota
kuchh der rahe subh ke tare ki tarah hum
hum ne bhi to ek umr ye gham saint ke rakkhe
ab kya hai jo bhaari hain KHasare ki tarah hum
ek qaum hai chandi ki jo miTTi pe khinchi hai
sahra mein hain bahte hue dhaare ki tarah hum
is raat mein pal pal kabhi raushan kabhi ru-posh
ek dur ke tare ke ishaare ki tarah hum
yakjai se pal bhar ki KHud-arai bhali thi
shoale se nikal aae sharare ki tarah hum
ye faKHr kisi aur se mansub na hoga
har gam hain KHud apne sahaare ki tarah hum

Ghazal
Nazron ki tarah log nazare ki tarah hum
Saud Usmani