nazron ke gird yun to koi daera na tha
apne siwae kuchh bhi magar sujhta na tha
sab khiDkiyan thin band koi dar khula na tha
jate kahan ki KHud se pare rasta na tha
kya jaane kis KHayal se chup ho ke rah gaya
aisa nahin ki gham mujhe pahchanta na tha
honTon ke pas aa na saka jam umr-bhar
haalanki fasla ye koi fasla na tha
wo jis ne zindagi ka meri ruKH badal diya
wo aap the huzur koi dusra na tha
puchhi kisi ne rah to chup ho ke rah gae
kahte bhi kya ki KHud hamein apna pata na tha
ab ke kuchh is tarah se bhi aai 'kanwal' bahaar
sare chaman mein ek bhi patta hara na tha
Ghazal
Nazron ke gird yun to koi daera na tha
D. Raj Kanwal