nazren milin charagh jale raushni hui
lau de uThi phir apni tabiat bujhi hui
KHun-e-jigar se nikhre KHad-o-KHal-e-arzu
dil ke lahu se shaKH-e-tamanna hari hui
ab subh-e-nau-bahaar ki kya aarzu karen
ek shaKH-e-ashiyan hai so wo bhi jali hui
phir yaad aa gain shab-e-hijran ki talKHiyan
dil ko kabhi KHushi jo ghaDi-do-ghaDi hui
bhaDka diya use tere do din ke pyar ne
ek umr se jo aag thi dil mein dabi hui
dil hi to ek dair-o-haram ka charagh tha
dil bujh gaya to phir na kahin raushni hui
duniya ba-juz tilism-e-nazar aur kuchh nahin
KHud ko diye fareb agar aagahi hui
wo chand-raat tera bichhaDna nazar mein hai
is ghar mein tere baad kahan raushni hui
is KHud-fareb dil ne wo ruswa kiya hamein
hum apne ho sake na teri bandagi hui
aabaad jis se thin meri tanhaiyan 'kalim'
nazron mein hai wo mahfil-e-yaran saji hui
Ghazal
Nazren milin charagh jale raushni hui
Ata Husain Kaleem