nazr-e-tauba hum karenge mai-parasti ek din
DhunDhti rah jaegi ye bazm-e-masti ek din
gham na kar KHushiyan na aaengi to gham aa jaenge
bas hi jaegi kisi se dil ki basti ek din
yun guzari hum ne to apni do-roza zindagi
mai-parasti ek din ki faqa-masti ek din
husn ki ye garm-bazari rahegi ta-ba-kai
dekhna ho jaengi ye jins sasti ek din
apni nadani ye nazan hain bahut ahl-e-KHirad
un ko le Dubegi un ki KHud-parasti ek din
hai jabhi se be-KHudi badmast hun sarshaar hun
un ke hathon se piya tha jam-e-masti ek din
Thokaren khata rahega toD kar baiThega panw
KHatm ho jaegi teri sair-e-hasti ek din
bach ke jaengi kahan hasti shikast-o-reKHt se
sar-bulandi ke muqaddar mein hai pasti ek din
dekh zalim ki hua karti nahin rassi daraaz
aasman rah jaegi ye chira-dasti ek din
miTte miTte saf miT jaenge ye naqsh-o-nigar
KHud ayan ho kar rahega raaz-e-hasti ek din
TuTne wala hai nata us se TuTega zarur
chhuTne wali hai 'KHushtar' bazm-e-hasti ek din
Ghazal
Nazr-e-tauba hum karenge mai-parasti ek din
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar