nazdikiyon mein dur ka manzar talash kar
jo hath mein nahin hai wo patthar talash kar
suraj ke ird-gird bhaTakne se faeda
dariya hua hai gum to samundar talash kar
tariKH mein mahl bhi hai hakim bhi taKHt bhi
gumnam jo hue hain wo lashkar talash kar
rahta nahin hai kuchh bhi yahan ek sa sada
darwaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar
koshish bhi kar umid bhi rakh rasta bhi chun
phir is ke baad thoDa muqaddar talash kar
Ghazal
Nazdikiyon mein dur ka manzar talash kar
Nida Fazli