nazdik si shai saya-e-hail se bahut dur
manzil hai shanasai-e-manzil se bahut dur
dushwar sahi dur nahin nukta-rasi se
lekin hai ghalat-rasmi-e-rahil se bahut dur
ye ain KHudi ishq ke aasar mein hai gham
pahlu se hai kam dur muqabil se bahut dur
har sahal-talab se to hai bargashta-badih
har sail-e-kaamil ke bhi hasil se bahut dur
qurbaniyan kuchh rakh de giro aisi uThe gunj
gir-paD ke jo pahunche koi mushkil se bahut dur
tari asar-e-sadma kabhi nashsha-e-tundi
KHud-sanji-e-haq-sirat-e-zail se bahut dur
mashshatgi-e-shana bahut silsila-e-jumba
tah-dari-e-sad-zulf-e-awail se bahut dur
ek silsila-e-mauja-e-zanjir-e-shikan sa
ghuste hue zindan se salasil se bahut dur
ghaltida-o-pechida-o-ashufta si ek mauj
sahil ko liye zad mein hai sahil se bahut dur
sad-zawiya mehrab-e-taghayyur kam-o-afzun
idrak ke bazu-e-hamail se bahut dur
yun jaise ki har asr-e-rawan ke mutawazi
mausam ki har ek shaq ke mumasil se bahut dur
pinhan abhi kam-posh bhi mubham abhi har bar
payabi-e-mizrab rag-e-dil se bahut dur
lahut ki ek lahar su-e-karb-e-dil-e-KHak
laya koi jazba kisi mahfil se bahut dur
aashob-e-qadah jasta su-e-gasht piyaada
wamandagi-e-tishna-o-sar-joshi-e-baada
Ghazal
Nazdik si shai saya-e-hail se bahut dur
Meem Hasan Lateefi