nazar uThi hai jidhar bhi udhar tamasha hai
bashar ke waste jaise bashar tamasha hai
zamin Thaharti nahin apne panw ke niche
paDaw apna hai jis mein wo ghar tamasha hai
yahan qayam karega na mustaqil koi
zara si der rukega agar tamasha hai
figar ho ke bhi rakkhega aabru-e-numu
nigah-e-zar mein jo dast-e-hunar tamasha hai
ai mausamon ke KHuda bhed ye khule aaKHir
nigah-e-shaKH mein kaise shajar tamasha hai
na baal-o-par hain mayassar na izn-e-goyai
to is ke mani hain apni sahar tamasha hai
mila 'nisar-turabi' sara-e-hairat se
wo aaina jise apni nazar tamasha hai

Ghazal
Nazar uThi hai jidhar bhi udhar tamasha hai
Nisar Turabi