nazar uThaen to kya kya fasana banta hai
sau pesh-e-yar nigahen jhukana banta hai
wo lakh be-KHabar-o-be-wafa sahi lekin
talab kiya hai gar us ne to jaana banta hai
ragon talak utar aai hai zulmat-e-shab-e-gham
so ab charagh nahin dil jalana banta hai
parai aag mera ghar jala rahi hai so ab
KHamosh rahna nahin ghul machana banta hai
qadam qadam pe tawazun ki baat mat kije
ye mai-kada hai yahan laDkhaDana banta hai
bichhaDne wale tujhe kis tarah bataun main
ki yaad aana nahin tera aana banta hai
ye dekh kar ki tere aashiqon mein main bhi hun
jamal-e-yar tera muskurana banta hai
junun bhi sirf dikhawa hai wahshaten bhi ghalat
diwana hai nahin 'faris' diwana banta hai
Ghazal
Nazar uThaen to kya kya fasana banta hai
Rehman Faris