nazar uTha dil-e-nadan ye justuju kya hai
usi ka jalwa to hai aur ru-ba-ru kya hai
kisi ki ek nazar ne bata diya mujh ko
surur-e-baada-e-be-saghar-o-subu kya hai
qafas azab sahi bulbul-e-asir magar
zara ye soch ki wo dam-e-rang-o-bu kya hai
gada nahin hain ki dast-e-sawal phailaen
kabhi na aap ne puchha ki aarzu kya hai
na mere ashk mein shamil na un ke daman par
main kya bataun unhen KHun-e-arzu kya hai
suKHan ho sama-KHarashi to KHamushi behtar
asar kare na jo dil par wo guftugu kya hai

Ghazal
Nazar uTha dil-e-nadan ye justuju kya hai
Tilok Chand Mahroom