nazar us par fida hai jis ki tabani nahin jati
koi aalam ho jalwon ki farawani nahin jati
tasawwur se bhi un ki jalwa-samani nahin jati
paDe hain lakh parde phir bhi uryani nahin jati
namaz-e-ashiqi mujh par bala-e-na-gahan guzri
tumhaare aastan tak meri peshani nahin jati
wajud-e-zindagi ek khel hai do-chaar lamhon ka
haqiqat aadmi se us ki pahchani nahin jati
sitaron mein bahaaron mein nazaron mein hazaron mein
wahi to ek surat hai jo pahchani nahin jati
safine aansuon ke tairte rahte hain aankhon mein
kisi surat hamare dil ki tughyani nahin jati
tamanna KHub jaane hai tabassum un ke honTon ka
magar zer-e-tabassum fitna-samani nahin jati
Ghazal
Nazar us par fida hai jis ki tabani nahin jati
Hasrat Kamali