nazar us chashm pe hai jam liye baiTha hun
hai na pine ka ye matlab ki piye baiTha hun
raKHna-andazi-e-andoh se ghafil nahin main
hai jigar chaak to kya honT siye baiTha hun
kya karun dil ko jo lene nahin deta hai qarar
jo muqaddar ne diya hai wo liye baiTha hun
iltifat ai nigah-e-hosh-ruba ab kyun hai
pas jo kuchh tha wo pahle se diye baiTha hun
dil-e-pur-kaif salamat ki akele mein bhi
ek botal se baghal garm kiye baiTha hun
'arzu' jalte hue dil ke sharare hain ye ashk
aag pani ke kaToron mein liye baiTha hun
Ghazal
Nazar us chashm pe hai jam liye baiTha hun
Arzoo Lakhnavi