nazar tak aaya hai pahchan tak nahin aaya 
ye wahima abhi imkan tak nahin aaya 
jarahat-e-gham-e-dauran ki ibtida kahiye 
dil-e-jahan-zada paikan tak nahin aaya 
wo aur baat ki jaan ki aman mangi thi 
main us ki baiat-o-paikan tak nahin aaya 
bas us ke lams ka ilham hi utarta hai 
wo mere mushaf-e-wijdan tak nahin aaya 
ye zindagi to nafi mein guzar di main ne 
par us ke halqa-e-mizan tak nahin aaya 
kitab-e-husn ki tabir KHair kya karta 
'nadim' aaina unwan tak nahin aaya
        Ghazal
Nazar tak aaya hai pahchan tak nahin aaya
Kamran Nadeem

