nazar se qaid-e-tayyun uThai jati hai
tajalli-e-ruKH-e-jaanan dikhai jati hai
jab un ko hausla-e-dil pe e'tibar nahin
to phir nazar se nazar kyun milai jati hai
KHum-o-subu ki zarurat ke hum nahin qail
sharab mast nazar se pilai jati hai
sitam-nawazi-e-paiham hai ishq ki fitrat
fuzul husn pe tohmat lagai jati hai
bhula diya hai gham-e-rozgar ne jis ko
wo dastan mujhe phir yaad aai jati hai
'shakil' duri-e-manzil se na-umid na ho
ab aai jati hai manzil ab aai jati hai
Ghazal
Nazar se qaid-e-tayyun uThai jati hai
Shakeel Badayuni