nazar se dur hain dil se juda na hum hain na tum
gila karen bhi to kya be-wafa na hum hain na tum
hum ek waraq pe to hain do huruf ki surat
magar nasib ka likkha hua na hum hain na tum
hamari zindagi parchhaiyon ki KHamoshi
qarib lati hai jo wo sada na hum hain na tum
hum ek sath hain jab se ye rog hain tab se
kisi bhi rog ki lekin dawa na hum hain na tum
hamare jism hain pani pe jaise taswiren
bikharte rangon ke dukh ka sila na hum hain na tum
duhaiyan jo nahin den 'zafar' sitam sah kar
samajh rahi hai ye duniya KHafa na hum hain na tum

Ghazal
Nazar se dur hain dil se juda na hum hain na tum
Sabir Zafar