اردو हिंदी
Nazar se chhup gae dil se juda to hona tha | Shaahi Shayari
nazar se chhup gae dil se juda to hona tha

Ghazal

Nazar se chhup gae dil se juda to hona tha

Nawab Moazzam Jah Shaji

;

nazar se chhup gae dil se juda to hona tha
is ehtimam se tum ko KHafa to hona tha

wafa KHud apne muqabil hui mohabbat mein
tere sitam ki koi intiha to hona tha

kahan pahunch ke ruke aap bewafai se
lihaz meri wafa ka zara to hona tha

sanwar ke aaina dekha to hans ke farmaya
wo samne hain magar samna to hona tha

agar idhar se wo guzre hain be-KHayali mein
qarib-e-dil koi aawaz-e-pa to hona tha

wo le gae hain agar bu-e-gul ko sath 'shajia'
kam-az-kam aaj chaman mein saba to hona tha