nazar sameTen baTor kar intizar rakh den
jo us pe tha ab talak hamein e'tibar rakh den
bas ek KHwahish madar thi apni zindagi ka
kisi ke hathon mein apna dar-o-madar rakh den
tujhe jakaD le kabhi saliqa yahi nahin hai
hai ji mein sab noch kar nigahon ke tar rakh den
baDi hi narmi se us ki aankhen musir hui thin
hum us ke daman mein apna sara ghubar rakh den
kabhi meri zid jo kar le mujh hi ko le ke dam le
phir us ke aage zamane bhar ko hazar rakh den
Ghazal
Nazar sameTen baTor kar intizar rakh den
Shamim Abbas