nazar nichi hai yar-e-KHush-nazar ki 
karamat hai ye meri chashm-e-tar ki 
mubarak tujh ko ai sarw-e-KHiraman 
jawani dhup jaise dopahar ki 
usi ko lutf aaya zindagi ka 
junun mein zindagi jis ne basar ki 
yahan parwaz ke aadab sikho 
asiri tarbiyat hai baal-o-par ki 
safar kaTta hai akasr be-KHudi mein 
adaen yaad hain ek ham-safar ki 
KHusha ai soz-e-gham teri badaulat 
duaon par inayat hai asar ki 
wo KHush hain 'wajd' arz-e-haal kar le 
yahan fursat nahin arz-e-hunar ki
        Ghazal
Nazar nichi hai yar-e-KHush-nazar ki
Sikandar Ali Wajd

