nazar nazar se wo kaliyan khila khila bhi gaya
gul-e-murad ko qadmon mein raundta bhi gaya
buland shaKH ke gul ki tarah na hath aaya
wo rifaton pe raha apni chhab dikha bhi gaya
mujhe nawed-e-judai sunane aaya tha
juda hua to meri samt dekhta bhi gaya
wo zaKHm zaKHm pe marham lagane aaya tha
ada-e-baKHiya-gari se unhen dikha bhi gaya
wo mera shola-jabin mauja-e-hawa ki tarah
diye jala bhi gaya aur diye bujha bhi gaya
wo kam-nigah tha kam-zarf to na tha ki mujhe
pyala de bhi gaya tishnagi baDha bhi gaya
suKHan ke aainon mein dekh dekh apne nuqush
jhijak jhijak bhi gaya aur jhumta bhi gaya
meri hi tarah tha wo bhi junun ki zad mein magar
mujhe sambhaal ke KHud ko sambhaalta bhi gaya
wo jis ka daman-e-shaffaf ab bhi hai be-dagh
wufur-e-shauq mein mujh ko gale laga bhi gaya
us ek nazare mein the kitne didani pahlu
wo mere haal pe roya bhi muskura bhi gaya
gham-e-widaa mein pinhan tha aur bhi ek gham
ki dil se shauq-e-mulaqat-e-barha bhi gaya
firaq-e-yusuf-e-gum-gashta kam na tha sadiq
ki mere hath se kanan-e-quetta bhi gaya

Ghazal
Nazar nazar se wo kaliyan khila khila bhi gaya
Sadique Naseem