اردو हिंदी
Nazar nazar se milao hijab kya mani | Shaahi Shayari
nazar nazar se milao hijab kya mani

Ghazal

Nazar nazar se milao hijab kya mani

Josh Malsiani

;

nazar nazar se milao hijab kya mani
niyaz-e-ishq se ye ijtinab kya mani

chunenge ek mujhi ko wo har sitam ke liye
KHata kare nazar-e-intiKHab kya mani

gharaz hi kya thi tamasha-e-dahr se tum ko
ab aae ho to ye ruKH par naqab kya mani

waqar-e-mehr-o-wafa ko to sar-nigun na karo
har ek sawal ka ulTa jawab kya mani

meri nazar hi se ye ehtiyat hai warna
naqab ke liye band-e-naqab kya mani

had-e-shumar se bahar hain jab gunah mere
hisab ke liye yun be-hisab kya mani

sukun-e-dil to jahan mein kahin nahin ai 'josh'
phir is sukun ke liye iztirab kya mani