nazar nazar se milana koi mazaq nahin
mila ke aankh churana koi mazaq nahin
pahaD kaT to sakta hai tesha-e-farhad
pahaD sar pe uThana koi mazaq nahin
uDanen bharte rahen lakh tairan-e-KHayal
sitare toD ke lana koi mazaq nahin
lahu lahu hai jigar dagh dagh hai sina
ye do dilon ka fasana koi mazaq nahin
hawaen aaj bhi aawara o pareshan hain
mahak gulon ki uDana koi mazaq nahin
hazaron karwaTen lete hain aasman o zamin
gire huon ko uThana koi mazaq nahin
ye aur baat bulaen na apni mahfil mein
magar 'ziya' ko bhulana koi mazaq nahin
Ghazal
Nazar nazar se milana koi mazaq nahin
Zia Fatehabadi