اردو हिंदी
Nazar nazar se mila kar sharab pite hain | Shaahi Shayari
nazar nazar se mila kar sharab pite hain

Ghazal

Nazar nazar se mila kar sharab pite hain

Tasneem Faruqi

;

nazar nazar se mila kar sharab pite hain
hum un ko pas baiTha kar sharab pite hain

isi liye to andhera hai mai-kade mein bahut
yahan gharon ko jala kar sharab pite hain

hamein tumhaare siwa kuchh nazar nahin aata
tumhein nazar mein saja kar sharab pite hain

unhin ke hisse mein aati hai pyas bhi aksar
jo dusron ko pila kar sharab pite hain