nazar nazar mein tamanna qadam qadam pe gurez
jahan jahan bhi mile kohkan wahin parwez
ghaTa ghaTa sa dhundlaka hai qasr-o-aiwan mein
nikal chalo jahan maidan mein raushni hai tez
tere karam pe bhi andesha-ha-e-dur-o-daraaz
mile hain jam-o-subu wo bhi zahr se labrez
numud-e-KHar-e-mughilan hai baghban ko pasand
zamin-e-lala-o-gul warna hai bahut zarKHez
sukun mila hai kanizon ko KHwab-e-shirin ka
jo kohkan ne sambhaali hai daulat-e-parwez
taghayyuraat-e-KHayalat irtiqa-e-hayat
tasadum-e-nazariyat fitna-e-changez
guzar rahe hain shab-o-roz is tarah 'mahir'
na zindagi se mohabbat na zindagi se gurez
Ghazal
Nazar nazar mein tamanna qadam qadam pe gurez
Iqbal Mahir