nazar-nawaz hai husn-e-KHajista-pai ab bhi
khaTak rahi hai magar dil mein koi shai ab bhi
ba-qaid-e-tauba wahi ehtiram hai ab bhi
meri nazar mein hai KHurshid-e-jam-e-mai ab bhi
main gharq-e-be-KHudi-e-shauq hi sahi lekin
tumhein pukar lun itna to hosh hai ab bhi
ye zarf hai mera ai rahbar-numa rahzan
ki chal raha hun tere sath pai-ba-pai ab bhi
ghalat nahin ki ho tum jada-azma-e-haram
na hogi rah-e-wafa shaiKH tum se tai ab bhi
wo soz-o-saz-e-gham-e-ishq ab kahan lekin
nikalti hai mere naghmon se gham ki lai ab bhi
kabhi idhar se koi nai-nawaz guzra tha
faza mein gunj rahi hai sada-e-nai ab bhi
Ghazal
Nazar-nawaz hai husn-e-KHajista-pai ab bhi
Mukhtar Hashmi