nazar na aae to kya wo mere qayas mein hai
wo ek jhuT jo sachchai ke libas mein hai
amal se mere KHayalon ka munh chiDhata hai
wo ek shaKHs ki pinhan mere libas mein hai
abhi jarahat-e-sar hi ilaj Thahra hai
ki nabz-e-sang kisi dast-e-be-qayas mein hai
shajar se saya juda hai to dhup suraj se
safar hayat ka kis dasht-e-be-qayas mein hai
zara jo talKH ho lahja to koi baat bane
gharib-e-shahr magar qaid-e-iltimas mein hai
tujhe KHabar bhi hai KHud teri kam-nigahi ka
ek e'tiraf tere harf-e-na-sipas mein hai

Ghazal
Nazar na aae to kya wo mere qayas mein hai
Ummeed Fazli