nazar milte hi saqi se giri ek barq si dil par
wo uTTha shor TuTe jam ki ban aai mahfil par
usi andaz se us ne likhi hai dastan dil par
gale mein pyar se bahen hamail aur chhuri dil par
koi ek hadisa ho gar karen hum zikr bhi us ka
guzarte hain yahan to hadse par hadse dil par
na manzil hai na jada hai na koi rahbar baqi
mera zauq-e-safar baqi hai ek hangama-e-dil par
tawaf-e-mah karna aur KHala mein sans lena kya
bharosa jab nahin insan ko insan ke dil par
wahi maujen jo mujh ko khinch kar lai hain tufan mein
unhen maujon ke sath ek rose mein pahunchunga sahil par
masarrat aur rahat se na thin ranaiyan kafi
'anis' ehsan gham ke bhi bahut hain na-tawan dil par
Ghazal
Nazar milte hi saqi se giri ek barq si dil par
Anees Ahmad Anees