nazar milte hi barse ashk-e-KHun kyun dida-e-tar se
ragen qalb-o-jigar ki chheD din kya tum ne nashtar se
yaqinan kuchh talluq hai tere dar ko mere sar se
wagarna lauh-e-peshani ka kya rishta hai patthar se
mere pahlu mein hai aabaad armanon ki ek duniya
hazaron mayyaten uThengi mere sath bistar se
wo apni zulf bikhra kar tasawwur hi mein aa jate
ye saya bhi uTha ab to meri ummid ke sar se
wafa ne hasrat-e-kushta ka us ko KHun-baha samjha
gira jo ashk daman par lahu ka dida-e-tar se
sunaun tum ko wo lafzon mein haal-e-KHubi-e-qismat
mere daman par barse bhi to ashkon ke guhar barse
meri hasti miTane wale shayad tu nahin waqif
ki miT kar bhi banegi ek duniya mere paikar se
KHayal-e-abla-pai 'waqar' ek uzr-e-be-ja tha
na ghar tha dur manzil se na manzil dur thi ghar se
Ghazal
Nazar milte hi barse ashk-e-KHun kyun dida-e-tar se
Waqar Bijnori