اردو हिंदी
Nazar mili to nazaron mein banT di maine | Shaahi Shayari
nazar mili to nazaron mein banT di maine

Ghazal

Nazar mili to nazaron mein banT di maine

Kashif Husain Ghair

;

nazar mili to nazaron mein banT di main ne
ye raushni bhi sitaron mein banT di main ne

bas ek sham bachi thi tumhaare hisse ki
magar wo sham bhi yaron mein banT di main ne

janab qarz chukaya hai yun anasir ka
ki zindagi inhi chaaron mein banT di main ne

pukarte the barabar mujhe safar ke liye
mata-e-KHwab sawaron mein banT di main ne

hawa mizaj tha karta bhi kya samundar ka
ek ek lahr kinaron mein banT di main ne