nazar mili thi kisi be-KHabar se pahle bhi
sada-e-tishna uThi thi jigar se pahle bhi
ye sehr kam hai ki shadab ho gaya sahra
bahe the ashk bahut chashm-e-tar se pahle bhi
naya nahin hai taqaza-e-shisha-o-tesha
guzar chuka hun main is dard-e-sar se pahle bhi
main KHak chhanne wala sawad-e-sahra ka
paDe the panw mein chhaale safar se pahle bhi
hisar-e-lafz-o-bayan mein na rah saka 'nami'
ki aashna tha maqam-e-hunar se pahle bhi

Ghazal
Nazar mili thi kisi be-KHabar se pahle bhi
Nami Ansari