nazar mila ke nazar se gira diya tum ne
mujhe batao KHudara ye kya kya tum ne
mujhi pe war kiya aur mujhi ko bhul gae
meri wafa ka ye achchha sila diya tum ne
na apne tarz-e-sitam par nigah ki tum ne
hamari baat ko itna baDha diya tum ne
tum aa ke kya mutabassim hue lahad par meri
charagh-e-gor-e-ghariban jala diya tum ne
hamein to hosh nahin tum ko ilm hoga zarur
ki kis qusur pe dil se bhula diya tum ne
kisi ke jaur ka 'tasnim' ye fasana hai
ki jis ko nazm bana kar suna diya tum ne

Ghazal
Nazar mila ke nazar se gira diya tumne
Jameela Khatoon Tasneem