nazar mila ke mere pas aa ke luT liya
nazar haTi thi ki phir muskura ke luT liya
shikast-e-husn ka jalwa dikha ke luT liya
nigah nichi kiye sar jhuka ke luT liya
duhai hai mere allah ki duhai hai
kisi ne mujh se bhi mujh ko chhupa ke luT liya
salam us pe ki jis ne uTha ke parda-e-dil
mujhi mein rah ke mujhi mein sama ke luT liya
unhin ke dil se koi us ki azmaten puchhe
wo ek dil jise sab kuchh luTa ke luT liya
yahan to KHud teri hasti hai ishq ko darkar
wo aur honge jinhen muskura ke luT liya
KHusha wo jaan jise di gai amanat-e-ishq
rahe wo dil jise apna bana ke luT liya
nigah Dal di jis par hasin aankhon ne
use bhi husn-e-mujassam bana ke luT liya
baDe wo aae dil o jaan ke luTne wale
nazar se chheD diya gudguda ke luT liya
raha KHarab-e-mohabbat hi wo jise tu ne
KHud apna dard-e-mohabbat dikha ke luT liya
koi ye luT to dekhe ki us ne jab chaha
tamam hasti-e-dil ko jaga ke luT liya
karishma-sazi-e-husn-e-azal are tauba
mera hi aaina mujh ko dikha ke luT liya
na luTte hum magar un mast ankhDiyon ne 'jigar'
nazar bachate hue DabDaba ke luT liya
Ghazal
Nazar mila ke mere pas aa ke luT liya
Jigar Moradabadi