اردو हिंदी
Nazar mein wo utare ja rahe hain | Shaahi Shayari
nazar mein wo utare ja rahe hain

Ghazal

Nazar mein wo utare ja rahe hain

Saim Ji

;

nazar mein wo utare ja rahe hain
muqaddar yun sanware ja rahe hain

ai dariya hum tumhaara sath denge
jahan tak bhi kinare ja rahe hain

jinhen pahle Duboya ja chuka hai
wahi phir kyun ubhaare ja rahe hain

zara namkin pani se suna hai
dilon ke zang utare ja rahe hain

qayamat jis jagah TuTi thi hum par
wahin se phir guzare ja rahe hain

hilai thi kabhi zanjir hum ne
suna hai ab pukare ja rahe hain