nazar mein rang samae hue usi ke hain
ye sare phul ugae hue usi ke hain
usi ke lutf se basti nihaal hai sari
tamam peD lagae hue usi ke hain
usi ke husn ki parchhaiyan hain patton par
zamin ne bojh uThae hue usi ke hain
wo jis ke qurb se harf-e-visal hai raushan
mere charag jalae hue usi ke hain
ye barishen bhi usi ki hain meri aaankhon mein
ye abr zehn pe chhae hue usi ke hain
ye aagahi jo hamein yun hamare haal ki hai
ye sab kamal sikhae hue usi ke hain
ye toD-phoD ghazal mein usi ke nam ki hai
ye sare shor machae hue usi ke hain
hamare lahje mein jo ek miThas hai baqi
hamein ye zahr pilae hue usi ke hain
ba-juz jamal hamein aur kya dikhai de
nazar pe pahre biThae hue usi ke hain
usi jabin se nikalta hai 'qais' chand mera
ye aasaman sajae hue usi ke hain
Ghazal
Nazar mein rang samae hue usi ke hain
saeed Qais