nazar mein koi manzil hai na jada chahta hun
safar chahe koi ho be-irada chahta hun
KHushi ka kya KHushi mein chahe kuchh taKHfif kar do
mata-e-gham ziyaada se ziyaada chahta hun
mera mafhum aasani se khul jae jahan par
main apna lahja-e-izhaar sada chahta hun
meri nazron ko wusat do-jahan ki dene wale
main daman-e-taKHayyul bhi kushada chahta hun
qayaadat mujh pe nazan thi kabhi manzil-ba-manzil
aur ab KHud hi qayaadat jada jada chahta hun
bahut talKHi bhare haalat mein jina paDa hai
isi talKHi ki KHatir talKH baada chahta hun
main KHud pahunchun ki mere qadmon mein chali aai
ba-har-surat main takmil-e-irada chahta hun
musalsal chahiye ki baat hai aur barmala hai
sawal is ka nahin kam ya ziyaada chahta hun
jahan-e-tang ki tangi se mera kya ilaqa
wasi-ul-qalb hun duniya kushada chahta hun
tere daman-kashan rahne ka matlab kya hai mujh se
yahi to hai ki main tujh ko ziyaada chahta hun
alag tashkil dena chahta hun apni manzil
'waqar' apne liye maKHsus jada chahta hun

Ghazal
Nazar mein koi manzil hai na jada chahta hun
Waqar Manvi