nazar mein kaisa manzar bas gaya hai
bayaban mein samundar bas gaya hai
chamak diwar-o-dar ki kah rahi hai
koi is ghar ke andar bas gaya hai
Thikana mil gaya hai us ko aaKHir
wo mere dil mein aa kar bas gaya hai
mahak uTTha tasawwur ka jahan bhi
koi KHushbu ka paikar bas gaya hai
jo tanhai ke sahra ka makin tha
'zaman' aaj us ka bhi ghar bas gaya hai
Ghazal
Nazar mein kaisa manzar bas gaya hai
Zaman Kanjahi