nazar mein dhul faza mein ghubar chaaron taraf
zarur phailega ab intishaar chaaron taraf
tujhe bhi wadi-e-hu ne qubul kar hi liya
ab apne aap ko phir se pukar chaaron taraf
chale bhi aao kahin kuchh guman to baqi rahe
ki Dhal rahi hai shab-e-intizar chaaron taraf
samajh na paya koi dard bikhre lamhon ka
ye sham phir se hui ashk-bar chaaron taraf
tu ab ki bar na bach kar nikalne paega
safar mein dekh tilismi hisar chaaron taraf
yahan bahisht se aai hai ek sabz pari
isi liye hai faza mein nikhaar chaaron taraf
Ghazal
Nazar mein dhul faza mein ghubar chaaron taraf
Rashid Anwar Rashid