nazar mein arsh-e-barin hai kisi ko kya malum
kahan ye KHak-nashin hai kisi ko kya malum
tamam hech hai duniya alaeq-e-duniya
jo naqsh zeb-e-jabin hai kisi ko kya malum
tumhein KHabar hi nahin kya hai wirsa-e-darwesh
jahan-e-zer-e-nagin hai kisi ko kya malum
bila sabab to ye larzish hua nahin karti
jo aag zer-e-zamin hai kisi ko kya malum
na dar khula na dariche kabhi khule dekhe
makan mein kaun makin hai kisi ko kya malum
wo ek lafz jo utra na zina-e-lab se
hamein usi ka yaqin hai kisi ko kya malum
payambar ki zarurat na sharh-e-dil ka KHayal
wo kis ka bala zahin hai kisi ko kya malum

Ghazal
Nazar mein arsh-e-barin hai kisi ko kya malum
Seema Shakeeb