nazar mat bul-hawas par kar are chanchal sambhaal ankhiyan
ki us bad-feal sun khinchengi aaKHir infial ankhiyan
judai se howe mafrur jaan qalib ke suba sun
apas didar sun karti hain phir us kun bahaal ankhiyan
nigah-e-garm gul-ru sin hua raushan yu mali par
ki ab suraj naman nargis pe ladengi zawal ankhiyan
hua malum bad-karan taraf nit sin karne sun
ki rajware mein basti hain sirijan ki juhhaal ankhiyan
jahan ke rawtan sun ghamza ke neza kun chamka kar
nazar-bazi ke maidan bich karti hain qital ankhiyan
murawwat ka asar dasta nahin us shoKH chitwan mein
magar rakhti hain aashiq sun apas dil mein malal ankhiyan
siyah-chashmi hui zahir lalan ki chashm-poshi mein
chhupati hain apas mushtaq sun apna jamal ankhiyan

Ghazal
Nazar mat bul-hawas par kar are chanchal sambhaal ankhiyan
Obaidullah Khan Mubtala