nazar kya aae zat-e-haq kisi ko
KHayal us ka nahin mutlaq kisi ko
na tha aashiq ke KHun mein rang gulzar
koi to de gaya raunaq kisi ko
muqayyad mein muqayyad hai wo mutlaq
na sujha itna bhi mutlaq kisi ko
na kar itni bhi naseh harza-goi
KHush aati kab hai ye baq-baq kisi ko
fareb-e-muddai khate hain kab hum
magar samjha hai wo ahmaq kisi ko
jigar hai chaak chaak-e-astin se
dikhai tu ne kya mirfaq kisi ko
riyaz-e-wasl se waqt-e-saqimi
na hath aai kabhi sarmaq kisi ko
tasawwur mein tere ai shola-e-husn
nahin aaram chun zibaq kisi ko
bharosa kya hai dil ka bahr-e-gham mein
Dubo dewe na ye zoraq kisi ko
nikalne aap se deta nahin aah
tilism-e-gumbad-e-arzaq kisi ko
dikha de chandni mein apna mukhDa
sanam mil kar zara abraq kisi ko
'wahid'-e-dahr hai ai 'mushafi' tu
na apne sath kar mulhaq kisi ko
Ghazal
Nazar kya aae zat-e-haq kisi ko
Mushafi Ghulam Hamdani