nazar ko wusaten de bijliyon se aashna kar de
fasana tur ka tajdid ai jazb-e-rasa kar de
miTa de zauq-e-mahwiyyat se KHalwat aur jalwat ko
agar tu kar sake dil ko harim-e-dil-ruba kar de
hijabaat-e-nazar kab tak kahan tak dil ki mahrumi
madad ai shauq nazron ko qayamat-azma kar de
bana hai mai-kada ahl-e-hawas ki bazm ai saqi
tera tark-e-talluq dekhna jaane na kya kar de
ba-majburi ba-aKHir ye mujhe kahna hi paDta hai
bahut pur-fan hui duniya nigahon ko KHafa kar de
tere naghme surur-o-kaif mein ai 'taj' Dhalte hain
hadis-e-husn-o-ulfat ko dilon ka muddaa kar de
Ghazal
Nazar ko wusaten de bijliyon se aashna kar de
Zahiir Ahmad Taaj